|
Saraswat
Samman Award honoured
by Governor Satya Narain Reddy in Delhi on the 13th of June for
writing the book Gurbat in year 1998. |
|
NIDA FAZLI's
compliment to Mr. Tauqeer Zaidi
"Tauqeer
adab ke rayej fashionon se door hain, yahi unki adbi sadaqat ka
suboot hai. Unhone sheri zuban me kisi qism ke raddo-badal se ziyadi
apne ehsaaso-jazbaat ki sidq bayani per tavajje de hai. Esi
jamaliyati taqazun ke lihaaz se unk ashar adad ke bade dairey me
pasand kiye jate ke kashish rakhte haie" |
|
DR. FAZLE IMAM's
compliment to Mr. Tauqeer Zaidi
"Zauqe-Shairi
ka talluq wajdan se hai. Jab tak zauq baleeda aur shauq faravan nahi
ho, koi sher nahi keh sakta, khushi hai jawansaal shayar Tauqeer
Zaidi ke yahan zauqo-shauq ki haseen sangam hai" |
|
UPENDRA NATH ASHK's
compliment to Mr. Tauqeer Zaidi
"Tauqeer
agar esi enhemak se apne afkaro-hawadis qalam ki noak per rakhte
rahe aur khoobsoorat biwi ya gaddeydaar kurshi enhe jhatka na le
gaye to mujhe ummed-wasiq hai ke ye apne ustad hi ka nahi apne shehr
ka naam bhi duniya me raushan karenge, meri duaen enke saath hain,
aamin" |
|
AMARKANT's
compliment to Mr. Tauqeer Zaidi
"Bhasha
koi bhi ho wo uch vicharo, uttam adarshon avom vigeynik drishtikod
se jeevant banti hai, Esi wajeh se eik bhasha doosri bhasha ki
virodhi nahi hoti, aak aysi rachnaoun ki zaroorat hai jo logon me
vigeynik soch-samajh utpan kar sakey, Tauqeer ki rachnaien es disha
me achcha prayas hain." |
|
MAMTA KALIYA's
compliment to Mr. Tauqeer Zaidi
"Tauqeer
Zaidi ki nazmo mein jo khulus aur tazgi hai, bahut kam naye shayeron
me dikhae deti hai, eik achcha shayar lafzon ko har baar naya
arthdeta hai, ye samarth tauqeer me hai, mai enmen eik bahut
sa-shakt kalakar ki sambhavna dekti hun." |
|